kaḌī  thī  dhuup  sar  chakrā  rahā  thā
maiñ  bhūkā  thā  bahut  ghabrā  rahā  thā
tumhārā  shahr  kyā  thā  kyā  batā.ūñ
tamāsha  har  koī  dikhlā  rahā  thā
the  us  ke  haath  meñ  kashkol  lekin
vo  mehr-o-māh  ko  sharmā  rahā  thā
anā  kā  saañp  maiñ  ne  maar  Daalā
bahut  nuqsān  ye  pahuñchā  rahā  thā
amīr-e-shahr  se  ye  kaun  pūchhe
sitam  kyoñ  muflisoñ  par  Dhā  rahā  thā
lage  Thokar  to  ḳhud  hī  tum  sambhal  jaao
safar  kā  tajraba  batlā  rahā  thā
akelī  thī  koī  laḌkī  saḌak  par
badan  jis  kā  mujhe  lalchā  rahā  thā
ye  kaisā  ḳhvāb  maiñ  ne  'faiz'  dekhā
samundar  merī  jānib  aa  rahā  thā