badal  rahā  hai  zamāna  to  mere  Theñge  se
hai  merā  taur  purānā  to  mere  Theñge  se
jo  chaar  paise  haiñ  muTThī  meñ  bas  vo  mere  haiñ
hai  tere  paas  ḳhazāna  to  mere  Theñge  se
kabhī  lakīr  kā  bantā  nahīñ  faqīr  vo  shaḳhs
use  na  maano  siyānā  to  mere  Theñge  se
mirī  kahānī  haqīqat  pe  munhasir  hai  magar
tujhe  lage  hai  fasāna  to  mere  Theñge  se
tirī  pasand  se  miltī  nahīñ  pasand  mirī
yahī  hai  ek  bahāna  to  mere  Theñge  se
adū  se  karnā  hai  saarā  hisāb  chuktā  'faiz'
agar  vo  jā.egā  thāna  to  mere  Theñge  se