kisī  se  bhī  nahīñ  ham  sabr  kī  talqīn  lete  haiñ
hameñ  miltī  nahīñ  jo  chiiz  us  ko  chhīn  lete  haiñ
buḌhāpā  aa  gayā  lekin  nahīñ  badlā  mizāj  un  kā
abhī  tak  kapḌe  vo  apne  liye  rañgīn  lete  haiñ
faqīroñ  ko  kabhī  dar  se  na  ḳhālī  lauTne  denā
duā.eñ  dete  haiñ  ḳhairāt  jab  miskīn  lete  haiñ
vo  saare  log  ranj-o-ġham  se  pā  jaate  haiñ  āzādī
jo  sub.h-o-shām  vird-e-sūra-e-yāsīn  lete  haiñ
tumheñ  hairat  hai  kyoñ  ahal-e-filistīñ  kī  shujā.at  par
yazīdoñ  se  sadā  lohā  to  ahl-e-dīn  lete  haiñ