maalī  ko  sāzishoñ  pe  yuuñ  uksā  diyā  gayā
kaliyāñ  baneñ  na  phuul  ye  samjhā  diyā  gayā
sach  bolne  kī  jis  ne  jasārat  kī  dosto
phāñsī  pe  ek  din  use  laTkā  diyā  gayā
manzil  mire  nasīb  meñ  likh  dī  ga.ī  magar
pur-pech  rāsta  mujhe  dikhlā  diyā  gayā
ḳhud  ko  samajh  rahe  haiñ  vahī  log  hoshiyār
jin  ko  ḳhirad  kī  raah  se  bhaTkā  diyā  gayā
phir  mai-kade  meñ  TuuT  ga.ī  tauba  shaiḳh  kī
jab  muft  meñ  sharāb  kā  pyālā  diyā  gayā
baapū  ne  jo  diyā  thā  sabaq  yaad  hai  hameñ
phir  zahr  kyoñ  samāj  meñ  phailā  diyā  gayā
mahñgā.ī  'faiz'  chhūne  lagī  hai  ab  āsmān
dillī  ke  taḳht  par  kise  baiThā  diyā  gayā