qudrat  kā  sarsabz  bichhaunā  achchhā  lagtā  hai
khulī  fazā  meñ  ghaas  pe  sonā  achchhā  lagtā  hai
shaam  Dhale  jab  shāḳh  pe  chiḌiyāñ  naġhme  gaatī  haiñ
mujh  ko  tere  saath  meñ  honā  achchhā  lagtā  hai
har  ek  chiiz  jo  apnī  jagah  par  sajī  sajā.ī  ho
ḳhud  hī  ghar  kā  konā  konā  achchhā  lagtā  hai
tum  kyā  jaano  rah  rah  kaise  paate  haiñ  manzil
tum  ko  to  bas  ḳhvāb  salonā  achchhā  lagtā  hai
mere  gaañv  ke  log  bhī  kitne  bhole-bhāle  haiñ
aaj  bhī  un  ko  jādū-Tonā  achchhā  lagtā  hai