adhūrā  jism  liye  pīchhe  haT  rahā  huuñ  maiñ
ki  ik  kinārā  huuñ  dariyā  kā  kaT  rahā  huuñ  maiñ
mire  vajūd  ko  vus.at  nahīñ  kisī  bhī  tarah
har  ek  samt  se  har  roz  ghaT  rahā  huuñ  maiñ
asar-pazīr  huuñ  ik  zalzale  se  hastī  ke
zamīñ  ke  jaise  har  ik  saañs  phaT  rahā  huuñ  maiñ
haiñ  mere  vāste  ḳhanjar  shuā.eñ  sūraj  kī
khulī  saḌak  pe  huuñ  har  lamha  kaT  rahā  huuñ  maiñ
hai  mere  sāmne  terā  kitāb  sā  chehra
aur  is  kitāb  ke  aurāq  ulaT  rahā  huuñ  maiñ
pighal  rahā  huuñ  khaḌī  dhuup  hai  mire  sar  par
ki  ik  daraḳht  kā  saaya  huuñ  ghaT  rahā  huuñ  maiñ
mirā  vajūd  shikasta  sī  ek  naav  sahī
bhañvar  kī  lahroñ  se  tanhā  nimaT  rahā  huuñ  maiñ
maiñ  ik  ġhazal  huuñ  mujhe  kahiye  kāvish-e-ġhālib
ki  shahr  shahr  dimāġhoñ  meñ  baT  rahā  huuñ  maiñ