Shariq Jamal

dekh na paya jis paikar ko wadon ki angnai mein

Shariq Jamal

dekh na paayā jis paikar ko va.adoñ kī añgnā.ī meñ
DhūñD rahā huuñ us kā chehra ḳhvāboñ meñ tanhā.ī meñ
kaise ho ma.alūm ye āḳhir purvā.ī ke jhoñkoñ ko
phūloñ par kyā biit chukī hai shāḳhoñ kī añgḌā.ī meñ
Dhalte sūraj kī ā.ankhoñ ne āḳhir mujh ko DhūñD liyā
chhup na sakā maiñ bhī pīpal ke saa.e kī lambā.ī meñ
pā kar terī saañs kī aahaT dil yuuñ machlā jaa.e hai
jaise shor machā.e gāgar panghaT kī gahrā.ī meñ
har ik shaḳhs ke aage karūñ kyuuñ shikve kī dīvār khaḌī
sirf ik terā haath hai mere lahje kī rusvā.ī meñ
'shāriq' Daal do ā.ankhoñ par tum apnī palkoñ kā ye ġhilāf
saarā shahr pahuñch gayā hai sannāTe kī khaa.ī meñ
Top Urdushayar.com