dekh  na  paayā  jis  paikar  ko  va.adoñ  kī  añgnā.ī  meñ
DhūñD  rahā  huuñ  us  kā  chehra  ḳhvāboñ  meñ  tanhā.ī  meñ
kaise  ho  ma.alūm  ye  āḳhir  purvā.ī  ke  jhoñkoñ  ko
phūloñ  par  kyā  biit  chukī  hai  shāḳhoñ  kī  añgḌā.ī  meñ
Dhalte  sūraj  kī  ā.ankhoñ  ne  āḳhir  mujh  ko  DhūñD  liyā
chhup  na  sakā  maiñ  bhī  pīpal  ke  saa.e  kī  lambā.ī  meñ
pā  kar  terī  saañs  kī  aahaT  dil  yuuñ  machlā  jaa.e  hai
jaise  shor  machā.e  gāgar  panghaT  kī  gahrā.ī  meñ
har  ik  shaḳhs  ke  aage  karūñ  kyuuñ  shikve  kī  dīvār  khaḌī
sirf  ik  terā  haath  hai  mere  lahje  kī  rusvā.ī  meñ
'shāriq'  Daal  do  ā.ankhoñ  par  tum  apnī  palkoñ  kā  ye  ġhilāf
saarā  shahr  pahuñch  gayā  hai  sannāTe  kī  khaa.ī  meñ