Raghib Akhtar

hunar-e-zaKHm-numai bhi nahin

Raghib Akhtar

Bihar, India

1981
hunar-e-zaḳhm-numā.ī bhī nahīñ
sila-e-ābla-pā.ī bhī nahīñ
dard-e-sar ab tire hone kā sabab
ab to vo dast-e-hinā.ī bhī nahīñ
maiñ ne har rañg sameTā us kā
aur tasvīr banā.ī bhī nahīñ
bandagī bhī na mujhe raas aa.ī
aur pindār-e-ḳhudā.ī bhī nahīñ
jal gayā jis meñ mirā saarā vajūd
tū ne vo aag lagā.ī bhī nahīñ
ai ḳhudā baḳht-sinkandar mat de
aur kashkol-gadā.ī bhī nahīñ
Top Urdushayar.com