āḳhir  dil  kī  purānī  lagan  kar  ke  hī  rahegī  faqīr  hameñ
har  rut  aate  jaate  paa.e  ek  hī  shai  kā  asiir  hameñ
dhuum  machā.e  bahār  kabhī  aur  paat  hare  kabhī  piile  hoñ
har  nairañgī-e-qudrat  dekhe  yaksāñ  hī  dil-gīr  hameñ
kyā  kyā  pukāreñ  sisaktī  dekhīñ  lafzoñ  ke  zindānoñ  meñ
chup  hī  kī  talqīn  kare  hai  ġhairat-mañd  zamīr  hameñ
jin  kī  halkī  gahrī  talḳhī  ḳhuun  meñ  rach  rach  jaatī  hai
juzv-e-hayāt  banāne  paḌe  haiñ  vo  ash.ār-e-'mīr'  hameñ