bastiyāñ  kaise  na  mamnūn  hoñ  dīvānoñ  kī
vus.ateñ  in  meñ  vahī  laa.e  haiñ  vīrānoñ  kī
kal  gine  jā.eñge  zumre  meñ  sitam-rānoñ  ke
ḳhair  māñgeñge  agar  aaj  sitam-rānoñ  kī
ḳhvāb  bātil  bhī  to  hote  haiñ  tan-āsānoñ  ke
sa.ī-e-mashkūr  bhī  hotī  hai  girāñ-jānoñ  kī
zaḳhm  shākī  haiñ  azal  se  namak-afshānoñ  ke
baat  rakkhī  ga.ī  har  daur  meñ  paikānoñ  kī
vo  binā  saaz  bhī  hote  haiñ  gulistānoñ  ke
ḳhaak  jo  chhānte  phirte  haiñ  bayābānoñ  kī
TukḌe  jo  ginte  haiñ  TuuTe  hue  paimānoñ  ke
jaan  ban  jaate  haiñ  āḳhir  vahī  mai-ḳhānoñ  kī
tevar  aate  haiñ  haqīqat  meñ  bhī  afsānoñ  ke
kuchh  haqīqat  bhī  huā  kartī  hai  afsānoñ  kī
ho  bhī  jaate  haiñ  rafū  chāk-girebānoñ  ke
tañg  bhī  hotī  hai  pahnā.iyāñ  dāmānoñ  kī
ibrat-ābād  bhī  dil  hote  haiñ  insānoñ  ke
daad  miltī  bhī  nahīñ  ḳhūñ-shudā  armānoñ  kī
zarre  zindān-e-malāmat  bhī  haiñ  vīrānoñ  ke
dar  banā  kartī  haiñ  dīvāreñ  hī  zindānoñ  kī