kī  shab-e-hashr  mirī  shām-e-javānī  tum  ne
chheḌī  kis  daur  kī  kis  vaqt  kahānī  tum  ne
ma.ānī-o-lafz  meñ  jo  rabt  hai  maiñ  jaan  gayā
khole  is  tarah  se  asrār-e-ma.ānī  tum  ne
merī  āñkhoñ  hī  meñ  the  an-kahe  pahlū  us  ke
vo  jo  ik  baat  sunī  merī  zabānī  tum  ne
merī  tārīḳh  ne  daa.im  tumheñ  baaqī  samjhā
rakkhā  har  daur  meñ  daa.im  mujhe  faanī  tum  ne
maiñ  to  har  dhuup  meñ  sāyoñ  kā  rahā  huuñ  juuyā
mujh  se  likhvā.ī  sarāboñ  kī  kahānī  tum  ne
merī  har  baat  meñ  sau  aib  the  har  aib  meñ  shāḳh
ye  ġhanīmat  hai  mirī  qadr  bhī  jaanī  tum  ne