raat  ke  ba.ad  vo  sub.h  kahāñ  hai  din  ke  ba.ad  vo  shaam  kahāñ
jo  āshufta-sarī  hai  muqaddar  us  meñ  qaid-e-maqām  kahāñ
bhīgī  raat  hai  suunī  ghaḌiyāñ  ab  vo  jalva-e-ām  tamām
bandhan  toḌ  ke  jā.ūñ  lekin  ai  dil  ai  nākām  kahāñ
ab  vo  hasrat-e-rusvā  ban  kar  juzv-e-hayāt  hai  barsoñ  se
jis  se  vahshat  karte  the  tum  ab  vo  ḳhayāl-e-ḳhām  kahāñ
ziist  kī  rah  meñ  ab  ham  be-his  tanhā  sar-ba-girebāñ  haiñ
kuchh  ālām  kā  saath  huā  thā  vo  bhī  nāfarjām  kahāñ
karnī  karte  rāheñ  takte  ham  ne  umr  gañvā.ī  hai
ḳhūbi-e-qismat  DhūñD  ke  haarī  ham  aise  nākām  kahāñ
apne  haal  ko  jaan  ke  ham  ne  faqr  kā  dāman  thāmā  hai
jin  dāmoñ  ye  duniyā  miltī  utne  hamāre  daam  kahāñ