thī  to  sahī  par  aaj  se  pahle  aisī  haqīr  faqīr  na  thī
dil  kī  sharāfat  zehn  kī  jaudat  itnī  baḌī  taqsīr  na  thī
sach  kahte  ho  ham  aise  kahāñ  aur  soz-o-gudāz-e-ishq  kahāñ
sach  hai  mire  ā.īna-e-dil  meñ  koī  kabhī  tasvīr  na  thī
ab  jo  uchāT  huī  hai  tabī.at  shāyad  ab  ham  ruḳhsat  haiñ
bin-kāran  be-bāt  vagarna  aisī  kabhī  dil-gīr  na  thī
ahl-e-junūñ  ko  fasl-e-ḳhizāñ  se  ab  ke  bhī  go  na  rabt  rahā
ab  ke  bahār  vo  aa.ī  kī  jis  kī  bū-e-gul  bhī  safīr  na  thī
āḳhir  ġhairat  ne  samjhāyā  nau-mīdānā  ziist  kareñ
baaqī  har  tadbīr  to  kī  jo  apne  ḳhilāf-e-zamīr  na  thī