vahī  ik  pukār  vahī  fuġhāñ  mirī  mohr-e-dīda-o-lab  meñ  hai
hai  karāh  jo  shab-o-roz  kī  jo  fazā  ke  shor-o-shaġhab  meñ  hai
kabhī  din  Dhale  pe  ho  sāmnā  kabhī  diid  āḳhir-e-shab  meñ  hai
hai  yahī  ma.āl-e-talab  mirā  tū  mirī  ibādat-e-rab  meñ  hai
kabhī  fāsloñ  kī  masāfatoñ  pe  ubuur  ho  to  ye  kah  sakūñ
mirā  jurm  hasrat-e-qurb  hai  to  yahī  kamī  yahāñ  sab  meñ  hai
sahar-e-azal  ko  jo  dī  ga.ī  vahī  aaj  tak  hai  musāfirī
use  tai  kareñ  to  pata  chale  kahāñ  kaun  kis  kī  talab  meñ  hai
koī  aur  tarz-e-hayāt  bhī  mujhe  ab  rahīn-e-karam  batā
ki  hai  baat  merī  giraftanī  mirī  chup  bhī  sū-e-adab  meñ  hai