phir  bahār  aa.ī  hai  phir  josh  meñ  saudā  hogā
zaḳhm-e-derīnā  se  phir  ḳhuun  Tapaktā  hogā
biitī  bātoñ  ke  vo  nāsūr  hare  phir  hoñge
baat  niklegī  to  phir  baat  ko  rakhnā  hogā
yūrisheñ  kar  ke  umañD  ā.eñgī  suunī  shāmeñ
laakh  bhaTkeñ  kisī  unvāñ  na  saverā  hogā
jī  ko  samjhā.eñge  matvālī  havā  ke  jhoñke
phir  koī  laakh  sambhāle  na  sambhalnā  hogā
kaisī  rut  aa.ī  havā  chaltī  hai  jī  Doltā  hai
ab  to  hañsnā  bhī  taḌapne  kā  bahānā  hogā
TuuT  jā.egā  ye  lāchāri-e-dā.em  kā  fusūñ
aur  is  tarah  ki  jaise  koī  aatā  hogā
dil  dhaḌakne  kī  sadā  aa.egī  sūne-pan  meñ
duur  bādal  kahīñ  parbat  pe  garajtā  hogā