nūr-e-sahar  kahāñ  hai  agar  shām-e-ġham  ga.ī
kab  iltifāt  thā  ki  jo  ḳhū-e-sitam  ga.ī
pherā  bahār  kā  to  baras  do  baras  meñ  hai
ye  chaal  hai  ḳhizāñ  kī  jo  ruk  ruk  ke  tham  ga.ī
shāyad  koī  asiir  abhī  tak  qafas  meñ  hai
phir  mauj-e-gul  chaman  se  jo  bā-chashm-e-nam  ga.ī
qabze  meñ  josh-e-gul  na  ḳhizāñ  dastaras  meñ  hai
rāhat  bhī  kab  milī  hai  agar  vaj.h-e-ġham  ga.ī
haañ  tarh-e-āshiyāñ  bhī  unhīñ  ḳhār-o-ḳhas  meñ  hai
bijlī  jahāñ  pe  ḳhaas  ba-rañg-e-karam  ga.ī
haañ  shā.iba  gurez  kā  bhī  pesh-o-pas  meñ  hai
vo  be-ruḳhī  ki  naaz  kā  thī  jo  bharam  ga.ī
ab  kā.enāt  aur  ḳhudāoñ  ke  bas  meñ  hai
ab  rahbarī  meñ  qudrat-e-dair-o-haram  ga.ī
jaadū  ġhazal  kā  jazb-e-tamannā  ke  ras  meñ  hai
ya.anī  vo  dil  kī  baat  diloñ  meñ  jo  dam  ga.ī