aham  āñkheñ  haiñ  yā  manzar  khule  to
abhī  haiñ  band  kitne  dar  khule  to
to  phir  kyā  haal  ho  bas  kuchh  na  pūchho
jo  bhītar  hai  vahī  bāhar  khule  to
ḳhayāl  o  lafz  haiñ  dast-o-garebāñ
hai  kam-tar  kaun  hai  bartar  khule  to
sab  apnī  karnī  mere  mtthe  mañDh  dī
musir  thā  ḳhair  ḳhud  ki  shar  khule  to
dikhā.ī  degā  kuchh  kā  kuchh  sabhī  kuchh
magar  manzar  kā  pas-e-manzar  khule  to
kaḌī  ham  haiñ  usī  ik  silsile  kī
samundar  umDe  gar  gāgar  khule  to
nadārat  vus.ateñ  sab  rif.ateñ  phir
paroñ  meñ  āsmāñ  haiñ  par  khule  to
maze  kī  niiñd  ik  lambī  sī  jhapkī
badan  terā  mirā  bistar  khule  to