tū  kyā  jaane  terī  bābat  kyā  kyā  sochā  karte  haiñ
āñkheñ  mūñde  rahte  haiñ  aur  tujh  ko  sochā  karte  haiñ
duur  talak  lahreñ  bantī  haiñ  phailtī  haiñ  kho  jaatī  haiñ
dil  ke  baasī  zehn  kī  jhiil  meñ  kañkar  pheñkā  karte  haiñ
ek  ghanā  sā  peḌ  thā  barsoñ  pahle  jis  ko  kaaT  diyā
shaam  Dhale  kuchh  panchhī  haiñ  ab  bhī  mañDlāyā  karte  haiñ
aksar  yuuñ  hotā  hai  havā.eñ  ThaTThā  maar  ke  hañstī  haiñ
aur  khiḌkī  darvāze  apnā  siina  piiTā  karte  haiñ
tū  ne  basā.ī  hai  jo  bastī  us  kī  bāteñ  tū  hī  jaan
yaañ  to  bachche  ab  bhī  ammāñ  abbā  khelā  karte  haiñ