dil  chhoḌ  ke  har  rāhguzar  DhūñDh  rahā  huuñ
baiThe  haiñ  kahāñ  vo  maiñ  kidhar  DhūñDh  rahā  huuñ
vo  pesh-e-nazar  haiñ  to  nazar  kyuuñ  nahīñ  aate
kyā  merā  qusūr  is  meñ  agar  DhūñDh  rahā  huuñ
bārīk-nigārī  kī  tamannā  to  hai  lekin
miltā  nahīñ  mazmūn-e-kamar  DhūñDh  rahā  huuñ
phūkūñgā  nasheman  kī  tarah  apne  use  bhī
is  vāste  sayyād  kā  ghar  DhūñDh  rahā  huuñ
kahte  haiñ  jise  urf  meñ  sab  sub.h-e-bahārāñ
us  shām-e-judā.ī  kī  sahar  DhūñDh  rahā  huuñ
jamtā  hī  nahīñ  nok-e-mizha  par  koī  aañsū
kāñTe  pe  tule  jo  vo  guhar  DhūñDh  rahā  huuñ
ye  jaan  ke  us  but  kā  hai  patthar  kā  kaleja
ai  'barq'  maiñ  lohe  kā  jigar  DhūñDh  rahā  huuñ