talḳhī-e-ġham  kā  jo  hai  mukammal  javāb  lā
ya.anī  sharāb  lā  mire  saaqī  sharāb  lā
miT  jaa.eñ  jis  se  gardish-e-daurāñ  kī  talḳhiyāñ
vo  jām-e-ḳhush-gavār  milā  kar  gulāb  lā
vo  mai  ki  jis  se  har  ġham-o-andoh-o-yās  kā
ho  jaa.e  hashr  tak  ke  liye  sadd-e-bāb  lā
pī  kis  qadar  piyūñgā  abhī  kis  qadar  na  pūchh
de  pahle  is  kā  ba.ad  ko  lenā  hisāb  lā
kaalī  ghaTā  kī  tujh  ko  qasam  jān-e-mai-kada
tāḳhīr  kar  na  bahr-e-ḳhudā  lā  shitāb  lā
vo  dekh  sar  pe  chādar-e-rahmat  hai  zau-fagan
chhā.ī  hai  mai-kade  pe  ridā-e-sahāb  lā
rāz-e-hayāt-o-maut  kā  uqda  jo  khol  de
mil  jaa.e  jis  se  ḳhvāb  meñ  tābīr  ḳhvāb  lā
aisī  na  ho  ki  pī  ke  banūñ  aur  muttahim
bātil-shikan  ho  jo  vo  haqīqat-e-ma.āb  lā
saaqī  ġharaz  ye  tujh  se  guzārish  hai  'barq'  kī
āñkhoñ  se  jo  uThā  de  duī  kā  hijāb  lā