dab  ga.iiñ  maujeñ  yakāyak  josh  meñ  aane  ke  ba.ad
miT  ga.ī  tūfāñ  kī  hastī  mujh  se  Takrāne  ke  ba.ad
saḳhtiyāñ  mere  liye  āsāniyāñ  bantī  ga.iiñ
shahsavār-e-karbalā  kī  yaad  aa  jaane  ke  ba.ad
dekh  lī  chashm-e-jahāñ  ne  quvvat-e-mazlūmiyat
Dhahā  ga.e  ḳhud  zālimoñ  ke  ghar  sitam  Dhāne  ke  ba.ad
sa.ī-e-haq  meñ  mere  māthe  kā  pasīna  dekh  kar
paanī  paanī  ho  ga.iiñ  maujeñ  bhī  lahrāne  ke  ba.ad
thī  mire  aane  se  pahle  har  taraf  chhā.ī  ḳhizāñ
sahn-e-gulshan  meñ  bahār  aa.ī  mire  aane  ke  ba.ad
dāstān-e-ġhair  meñ  koī  haqīqat  thī  agar
gard  ho  kar  uḌ  ga.ī  kyuuñ  mere  afsāne  ke  ba.ad
chhoḌ  kar  tarz-e-fuġhāñ  mahv-e-rajaz-ḳhvānī  hue
naġhma-sanjān-e-chaman  merī  ġhazal  gaane  ke  ba.ad
terā  sho.ala  phūñk  saktā  hai  use  maanā  magar
soch  le  ai  sham.a  apnā  hashr  parvāne  ke  ba.ad
mujh  ko  aatī  hai  hañsī  nāseh  tirī  is  baat  par
tū  samajhtā  hai  ki  maiñ  samjhūñgā  samjhāne  ke  ba.ad
ḳhaak  uḌaa.ī  yuuñ  bagūloñ  ne  ki  parda  paḌ  gayā
kaun  jaane  kyā  huā  sahrā  meñ  dīvāne  ke  ba.ad
āshiyāna  jal  gayā  zulm-o-jafā-o-jaur  kā
merī  āh-e-ātishīñ  ke  'barq'  ban  jaane  ke  ba.ad