sadā  hai  fikr-e-taraqqī  buland-bīnoñ  ko
ham  āsmān  se  laa.e  haiñ  in  zamīnoñ  ko
paḌheñ  durūd  na  kyuuñ  dekh  kar  hasīnoñ  ko
ḳhayāl-e-san.at-e-sāne  hai  pāk-bīnoñ  ko
kamāl-e-faqr  bhī  shāyāñ  hai  pāk-bīnoñ  ko
ye  ḳhaak  taḳht  hai  ham  boriyā-nashīnoñ  ko
lahad  meñ  so.e  haiñ  chhoḌā  hai  shah-nashīnoñ  ko
qazā  kahāñ  se  kahāñ  le  ga.ī  makīnoñ  ko
ye  jhurriyāñ  nahīñ  hāthoñ  pe  zo.af-e-pīrī  ne
chunā  hai  jāma-e-aslī  kī  āstīnoñ  ko
lagā  rahā  huuñ  mazāmīn-e-nau  ke  phir  ambār
ḳhabar  karo  mire  ḳhirman  ke  ḳhosha-chīnoñ  ko
bhalā  taraddud-e-bejā  se  un  meñ  kyā  hāsil
uThā  chuke  haiñ  zamīñdār  jin  zamīnoñ  ko
unhīñ  ko  aaj  nahīñ  baiThne  kī  jā  miltī
muaaf  karte  the  jo  log  kal  zamīnoñ  ko
ye  zā.iroñ  ko  milīñ  sarfarāziyāñ  varna
kahāñ  nasīb  ki  chūmeñ  malak  jabīnoñ  ko
sajāyā  ham  ne  mazāmīñ  ke  taaza  phūloñ  se
basā  diyā  hai  in  ujḌī  huī  zamīnoñ  ko
lahad  bhī  dekhiye  in  meñ  nasīb  ho  ki  na  ho
ki  ḳhaak  chhān  ke  paayā  hai  jin  zamīnoñ  ko
zavāl-e-tāqat  o  mū-e-sapīd  o  zof-e-basar
inhīñ  se  paa.e  bashar  maut  ke  qarīnoñ  ko
nahīñ  ḳhabar  unheñ  miTTī  meñ  apne  milne  kī
zamīñ  meñ  gaaḌ  ke  baiThe  haiñ  jo  dafīnoñ  ko
ḳhabar  nahīñ  unheñ  kyā  badobast-e-puḳhta  kī
jo  ġhasb  karne  lage  ġhair  kī  zamīnoñ  ko
jahāñ  se  uTh  ga.e  jo  log  phir  nahīñ  milte
kahāñ  se  DhūñD  ke  ab  laa.eñ  ham-nashīnoñ  ko
nazar  meñ  phirtī  hai  vo  tīrgī  o  tanhā.ī
lahad  kī  ḳhaak  hai  surma  ma.āl-baīnoñ  ko
ḳhayāl-e-ḳhātir-e-ahbāb  chāhiye  har  dam
'anīs'  Thes  na  lag  jaa.e  ābgīnoñ  ko