ibtidā  se  ham  za.iif  o  nā-tavāñ  paidā  hue
uḌ  gayā  jab  rañg  ruḳh  se  ustuḳhvāñ  paidā  hue
ḳhāksārī  ne  dikhā.īñ  rif.atoñ  par  rif.ateñ
is  zamīñ  se  vaah  kyā  kyā  āsmāñ  paidā  hue
ilm  ḳhāliq  kā  ḳhazāna  hai  miyān-e-kāf-o-nūn
ek  kun  kahne  se  ye  kaun-o-makāñ  paidā  hue
zabt  dekho  sab  kī  sun  lī  aur  kuchh  apnī  kahī
is  zabāñ-dānī  par  aise  be-zabāñ  paidā  hue
shor-baḳhtī  aa.ī  hisse  meñ  unhīñ  ke  vā  nasīb
talḳh-kāmī  ke  liye  shīrīñ-zabāñ  paidā  hue
ehtiyāt-e-jism  kyā  anjām  ko  socho  'anīs'
ḳhaak  hone  ko  ye  musht-e-ustuḳhvāñ  paidā  hue