ḳhud  naved-e-zindagī  laa.ī  qazā  mere  liye
sham-e-kushta  huuñ  fanā  meñ  hai  baqā  mere  liye
zindagī  meñ  to  na  ik  dam  ḳhush  kiyā  hañs  bol  kar
aaj  kyuuñ  rote  haiñ  mere  āshnā  mere  liye
kunj-e-uzlat  meñ  misāl-e-āsiyā  huuñ  gosha-gīr
rizq  pahuñchātā  hai  ghar  baiThe  ḳhudā  mere  liye
tū  sarāpā  ajr  ai  zāhid  maiñ  sar-tā-pā  gunāh
bāġh-e-jannat  terī  ḳhātir  karbalā  mere  liye
naam  raushan  kar  ke  kyūñkar  bujh  na  jaatā  misl-e-sham.a
nā-muvāfiq  thī  zamāne  kī  havā  mere  liye
har  nafas  ā.īna-e-dil  se  ye  aatī  hai  sadā
ḳhaak  tū  ho  jā  to  hāsil  ho  jilā  mere  liye
ḳhaak  se  hai  ḳhaak  ko  ulfat  taḌaptā  huuñ  'anīs'
karbalā  ke  vāste  maiñ  karbalā  mere  liye