mirā  rāz-e-dil  āshkārā  nahīñ
vo  dariyā  huuñ  jis  kā  kinārā  nahīñ
vo  gul  huuñ  judā  sab  se  hai  jis  kā  rañg
vo  bū  huuñ  ki  jo  āshkārā  nahīñ
vo  paanī  huuñ  shīrīñ  nahīñ  jis  meñ  shor
vo  ātish  huuñ  jis  meñ  sharāra  nahīñ
bahut  zāl-e-duniyā  ne  diiñ  bāziyāñ
maiñ  vo  naujavāñ  huuñ  jo  haarā  nahīñ
jahannam  se  ham  be-qarāroñ  ko  kyā
jo  ātish  pe  Thahre  vo  paarā  nahīñ
faqīroñ  kī  majlis  hai  sab  se  judā
amīroñ  kā  yaañ  tak  guzārā  nahīñ
sikandar  kī  ḳhātir  bhī  hai  sadd-e-bāb
jo  daarā  bhī  ho  to  madārā  nahīñ
kisī  ne  tirī  tarah  se  ai  'anīs'
urūs-e-suḳhan  ko  sañvārā  nahīñ