koī  aniis  koī  āshnā  nahīñ  rakhte
kisī  kī  aas  baġhair  az  ḳhudā  nahīñ  rakhte
kisī  ko  kyā  ho  diloñ  kī  shikastagī  kī  ḳhabar
ki  TūTne  meñ  ye  shīshe  sadā  nahīñ  rakhte
faqīr  dost  jo  ho  ham  ko  sarfarāz  kare
kuchh  aur  farsh  ba-juz  boriyā  nahīñ  rakhte
musāfiro  shab-e-avval  bahut  hai  tiira  o  taar
charāġh-e-qabr  abhī  se  jalā  nahīñ  rakhte
vo  log  kaun  se  haiñ  ai  ḳhudā-e-kaun-o-makāñ
suḳhan  se  kaan  ko  jo  āshnā  nahīñ  rakhte
musāfirān-e-adam  kā  pata  mile  kyūñkar
vo  yuuñ  ga.e  ki  kahīñ  naqsh-e-pā  nahīñ  rakhte
tap-e-darūñ  ġham-e-furqat  varam-e-payāda-ravī
maraz  to  itne  haiñ  aur  kuchh  davā  nahīñ  rakhte
khulegā  haal  unheñ  jab  ki  aañkh  band  huī
jo  log  ulfat-e-mushkil-kushā  nahīñ  rakhte
jahāñ  kī  lazzat  o  ḳhvāhish  se  hai  bashar  kā  ḳhamīr
vo  kaun  haiñ  ki  jo  hirs-o-havā  nahīñ  rakhte
'anīs'  bech  ke  jaañ  apnī  hind  se  niklo
jo  tosha-e-safar-e-karbalā  nahīñ  rakhte