Meer Anees

ishaare kya nigah-e-naz-e-dil-ruba ke chale

Meer Anees

Faizabad, Uttar pradesh, India

1803-1874
ishāre kyā nigah-e-nāz-e-dil-rubā ke chale
sitam ke tiir chale nīmche qazā ke chale
gunah kā bojh jo gardan pe ham uThā ke chale
ḳhudā ke aage ḳhajālat se sar jhukā ke chale
talab se aar hai allāh se faqīroñ ko
kahīñ jo ho gayā pherā sadā sunā ke chale
pukāre kahtī thī hasrat se na.ash āshiq kī
sanam kidhar ko hameñ ḳhaak meñ milā ke chale
misāl-e-māhī-e-be-āb maujeñ taḌpā kiiñ
habāb phuuT ke ro.e jo tum nahā ke chale
maqām yuuñ huā is kār-gāh-e-duniyā meñ
ki jaise din ko musāfir sarā meñ aa ke chale
kisī kā dil na kiyā ham ne pā.emāl kabhī
chale jo raah to chyūñTī ko bhī bachā ke chale
milā jinheñ unheñ uftādgī se auj milā
unhīñ ne khaa.ī hai Thokar jo sar uThā ke chale
'anīs' dam kā bharosa nahīñ Thahar jaao
charāġh le ke kahāñ sāmne havā ke chale
Top Urdushayar.com