ishāre  kyā  nigah-e-nāz-e-dil-rubā  ke  chale
sitam  ke  tiir  chale  nīmche  qazā  ke  chale
gunah  kā  bojh  jo  gardan  pe  ham  uThā  ke  chale
ḳhudā  ke  aage  ḳhajālat  se  sar  jhukā  ke  chale
talab  se  aar  hai  allāh  se  faqīroñ  ko
kahīñ  jo  ho  gayā  pherā  sadā  sunā  ke  chale
pukāre  kahtī  thī  hasrat  se  na.ash  āshiq  kī
sanam  kidhar  ko  hameñ  ḳhaak  meñ  milā  ke  chale
misāl-e-māhī-e-be-āb  maujeñ  taḌpā  kiiñ
habāb  phuuT  ke  ro.e  jo  tum  nahā  ke  chale
maqām  yuuñ  huā  is  kār-gāh-e-duniyā  meñ
ki  jaise  din  ko  musāfir  sarā  meñ  aa  ke  chale
kisī  kā  dil  na  kiyā  ham  ne  pā.emāl  kabhī
chale  jo  raah  to  chyūñTī  ko  bhī  bachā  ke  chale
milā  jinheñ  unheñ  uftādgī  se  auj  milā
unhīñ  ne  khaa.ī  hai  Thokar  jo  sar  uThā  ke  chale
'anīs'  dam  kā  bharosa  nahīñ  Thahar  jaao
charāġh  le  ke  kahāñ  sāmne  havā  ke  chale