Meer Anees

shahid-e-ishq hue qais namwar ki tarah

Meer Anees

Faizabad, Uttar pradesh, India

1803-1874
shahīd-e-ishq hue qais nāmvar kī tarah
jahāñ meñ aib bhī ham ne kiye hunar kī tarah
kuchh aaj shaam se chehra hai faq sahar kī tarah
Dhalā hī jaatā huuñ furqat meñ dopahar kī tarah
siyāh-baḳhtoñ ko yuuñ baaġh se nikāl ai charḳh
ki chaar phuul to dāman meñ hoñ sipar kī tarah
tamām ḳhalq hai ḳhvāhān-e-ābrū ai rab
chhupā mujhe sadaf-e-qabr meñ guhar kī tarah
tujhī ko dekhūñgā jab tak haiñ barqarār āñkheñ
mirī nazar na phiregī tirī nazar kī tarah
hamārī qabr pe kyā ehtiyāj-e-ambar-o-ūd
sulag rahā hai har ik ustuḳhvāñ agar kī tarah
nahīf-o-zār haiñ kyā zor bāġhbāñ se chale
jahāñ biThā diyā bas rah ga.e shajar kī tarah
tumhāre halqa-ba-goshoñ meñ ek ham bhī haiñ
paḌā rahe ye suḳhan kaan meñ guhar kī tarah
'anīs' yuuñ huā hāl-e-javānī-o-pīri
baḌhe the naḳhl kī sūrat gire samar kī tarah
Top Urdushayar.com