shahīd-e-ishq  hue  qais  nāmvar  kī  tarah
jahāñ  meñ  aib  bhī  ham  ne  kiye  hunar  kī  tarah
kuchh  aaj  shaam  se  chehra  hai  faq  sahar  kī  tarah
Dhalā  hī  jaatā  huuñ  furqat  meñ  dopahar  kī  tarah
siyāh-baḳhtoñ  ko  yuuñ  baaġh  se  nikāl  ai  charḳh
ki  chaar  phuul  to  dāman  meñ  hoñ  sipar  kī  tarah
tamām  ḳhalq  hai  ḳhvāhān-e-ābrū  ai  rab
chhupā  mujhe  sadaf-e-qabr  meñ  guhar  kī  tarah
tujhī  ko  dekhūñgā  jab  tak  haiñ  barqarār  āñkheñ
mirī  nazar  na  phiregī  tirī  nazar  kī  tarah
hamārī  qabr  pe  kyā  ehtiyāj-e-ambar-o-ūd
sulag  rahā  hai  har  ik  ustuḳhvāñ  agar  kī  tarah
nahīf-o-zār  haiñ  kyā  zor  bāġhbāñ  se  chale
jahāñ  biThā  diyā  bas  rah  ga.e  shajar  kī  tarah
tumhāre  halqa-ba-goshoñ  meñ  ek  ham  bhī  haiñ
paḌā  rahe  ye  suḳhan  kaan  meñ  guhar  kī  tarah
'anīs'  yuuñ  huā  hāl-e-javānī-o-pīri
baḌhe  the  naḳhl  kī  sūrat  gire  samar  kī  tarah