tohfa-e-sher-o-suḳhan  laa.e  haiñ
hadiya-e-tauba-shikan  laa.e  haiñ
aap  kī  bazm  meñ  a  ham-suḳhano
apnā  sarmāya-e-fan  laa.e  haiñ
sher  kuchh  laa.e  haiñ  jiddat-āmez
kuchh  ba-andāz-e-kuhan  laa.e  haiñ
rang-o-āhang  ke  gul-daste  meñ
phuul  kyā  saarā  chaman  laa.e  haiñ
sher  kī  shakl  meñ  qirtās  pe  ham
gauhar-o-la.al-e-yaman  laa.e  haiñ
dil-figārī  ke  sanam-ḳhāne  meñ
dil-navāzī  kā  chalan  laa.e  haiñ
lafz  meñ  nik.hat-e-gul  Dhaal  ke  ham
dasht-e-ġhurbat  meñ  vatan  laa.e  haiñ
aaj  kī  tīra-shabī  meñ  yaaro
nuur  kī  ek  karan  laa.e  haiñ