jab  se  mere  baaġh  meñ  añgūr  ke  daane  lage
mujh  ko  duniyā  meñ  hī  jannat  ke  maze  aane  lage
mai-kashoñ  ne  hī  nahīñ  DhūñDā  mire  ghar  kā  pata
shaiḳh  sāhab  bhī  mujhe  ab  yaad  farmāne  lage
ik  surūr-o-kaif  kā  aalam  hai  taarī  bin  piye
pyāle  saade  paanī  ke  bhī  mai  ke  paimāne  lage
jagmagā  uTThe  haiñ  atrāf-o-javānib  meñ  diye
sham-e-mahfil  kī  pazīrā.ī  meñ  parvāne  lage
mah-ruḳhoñ  kī  bazm  meñ  shirkat  nazar  aane  lagī
aur  tasavvur  meñ  dhanak  ke  rañg  lahrāne  lage
tā.eroñ  kī  chahchahāhaT  se  huā  yuuñ  dil  gudāz
mere  ham-mashrab  mujhe  naġhmoñ  pe  uksāne  lage
ham  pe  ik  mas.hūr-kun  sī  kaifiyat  taarī  huī
aur  ham  is  kaifiyat  meñ  jhuum  kar  gaane  lage
is  tilism-e-rañg-o-bū  ke  sehr  se  nikle  haiñ  jab
ham  ko  aksar  din  meñ  bhī  taare  nazar  aane  lage