ye  zindagī  azaab  agar  ho  to  kyā  kareñ
ik  talḳh  sī  sharāb  agar  ho  to  kyā  kareñ
tum  se  hamāre  qalb  o  nazar  kā  muāmla
ik  vaj.h-e-iztirāb  agar  ho  to  kyā  kareñ
sidq-o-safā  kī  aarzū  ab  kyā  kare  koī
band  āgahī  kā  baab  agar  ho  to  kyā  kareñ
fitrat  meñ  jis  kī  roz-e-azal  se  hijāb  hai
vo  husn  be-hijāb  agar  ho  to  kyā  kareñ
ruḳh  ko  tumhāre  chāñd  se  tashbīh  de  to  deñ
gahnāyā  māhtāb  agar  ho  to  kyā  kareñ
ham  rāz-e-dil  chhupāte  magar  apnī  zindagī
puurī  khulī  kitāb  agar  ho  to  kyā  kareñ
kar  lī  hai  tauba  ham  ne  magar  duḳhtar-e-enab
masjid  meñ  dastiyāb  agar  ho  to  kyā  kareñ