ḳhaak  se  ḳhvāb  talak  ek  sī  vīrānī  hai
mere  andar  mire  bāhar  kī  bayābānī  hai
koī  manzar  kahīñ  maujūd  hai  pas-manzar  meñ
varna  kyā  chiiz  hai  jo  bā.is-e-hairānī  hai
kah  ke  dekheñge  ba-har-taur  magar  pahle  bhī
dil-e-ḳhud-sar  ne  koī  baat  kahāñ  maanī  hai
kise  mālūm  hai  ruknā  ki  guzar  jaanā  hai
shaam  hai  Thahrī  huī  bahtā  huā  paanī  hai
dekh  ye  dil  jo  kabhī  had  se  guzar  jaatā  thā
dekh  dariyā  meñ  koī  shor  na  tuġhyānī  hai