zaḳhm  dekhe  na  mire  zaḳhm  kī  shiddat  dekhe
dekhne  vaalā  mirī  āñkhoñ  kī  hairat  dekhe
mujh  pe  āsāñ  hai  kahe  lafz  kā  iifā  karnā
us  ko  mushkil  hai  to  vo  apnī  suhūlat  dekhe
dil  liye  jaatā  hai  phir  kū-e-malāmat  kī  taraf
aañkh  ko  chāhiye  phir  ḳhvāb-e-hazīmat  dekhe
koī  sūrat  ho  ki  inkār  se  pahle  aa  kar
kis  qadar  us  kī  yahāñ  par  hai  zarūrat  dekhe
dil  tazabzub  meñ  hī  rahtā  hai  ba-vaqt-e-paimāñ
lafz  dekhe  ki  ruḳh-e-yār  kī  rañgat  dekhe
aañkh  bhar  jaatī  hai  is  kasrat-e-nazzāra  se
dil  to  har  shakl  meñ  bas  ek  shabāhat  dekhe