ab  dil  bhī  dukhāo  to  aziyyat  nahīñ  hotī
hairat  hai  kisī  baat  pe  hairat  nahīñ  hotī
ab  dard  bhī  ik  had  se  guzarne  nahīñ  paatā
ab  hijr  meñ  vo  pahlī  sī  vahshat  nahīñ  hotī
hotā  hai  to  bas  ek  tire  hijr  kā  shikva
varna  to  hameñ  koī  shikāyat  nahīñ  hotī
kar  detā  hai  be-sāḳhta  bāñhoñ  ko  kushāda
jab  bach  ke  nikal  jaane  kī  sūrat  nahīñ  hotī
dil  ḳhush  jo  nahīñ  rahtā  to  is  kā  bhī  sabab  hai
maujūd  koī  vaj.h-e-masarrat  nahīñ  hotī
yuuñ  bar-sar-e-paikār  huuñ  maiñ  ḳhud  se  musalsal
ab  us  se  ulajhne  kī  bhī  fursat  nahīñ  hotī
ab  yuuñ  bhī  nahīñ  hai  ki  vo  achchhā  nahīñ  lagtā
yuuñ  hai  ki  mulāqāt  kī  sūrat  nahīñ  hotī
ye  hijr-e-musalsal  kā  vazīfa  hai  mirī  jaañ
ik  tark-e-sukūnat  hī  to  hijrat  nahīñ  hotī
do  chaar  baras  jitne  bhī  haiñ  jabr  hī  sah  leñ
is  umr  meñ  ab  ham  se  baġhāvat  nahīñ  hotī