koī  hunar  to  mirī  chashm-e-ashk-bār  meñ  hai
ki  aaj  bhī  vo  kisī  ḳhvāb  ke  ḳhumār  meñ  hai
kisī  bahār  kā  manzar  hai  chashm-e-vīrāñ  meñ
kisī  gulāb  kī  ḳhushbū  dil-e-figār  meñ  hai
ajab  taqāzā  hai  mujh  se  judā  na  hone  kā
ki  jaise  kaun-o-makāñ  mere  iḳhtiyār  meñ  hai
nishān-e-rāh  bhī  Thahregā  bārishoñ  ke  ba.ad
abhī  ye  naqsh  kisī  raah  ke  ġhubār  meñ  hai
ufuq  ke  aks  kisī  aa.ine  meñ  kyā  simTīñ
ki  shauq-e-jalva  abhī  apne  intishār  meñ  hai
makāñ  kī  koī  ḳhabar  lā-makāñ  ko  kaise  ho
safīr-e-rūh  abhī  jism  ke  hisār  meñ  hai
kamāl-e-zabt  kī  saa.at  kahīñ  guzar  bhī  jā
sitāra-e-shab-e-ġham  mere  intizār  meñ  hai