chaḌhe  hue  haiñ  jo  dariyā  utar  bhī  jā.eñge
mire  baġhair  tire  din  guzar  bhī  jā.eñge
uḌā  rahī  haiñ  havā.eñ  parā.e  sehnoñ  meñ
Dhalegī  raat  to  ham  apne  ghar  bhī  jā.eñge
jo  ro  rahī  hai  yahī  aañkh  hañs  rahī  hogī
tire  dayār  meñ  bār-e-digar  bhī  jā.eñge
talāsh  ḳhud  ko  kahīñ  ḳhāk-o-āb  meñ  kar  leñ
tumhāre  khoj  meñ  phir  dar-ba-dar  bhī  jā.eñge
hamesha  ek  sī  hālat  pe  kuchh  nahīñ  rahtā
jo  aa.e  haiñ  to  kaḌe  din  guzar  bhī  jā.eñge
ye  phuul  phuul  kisī  ḳhushnumā  kī  tahrīreñ
ye  lafz  ma.anoñ  se  apne  mukar  bhī  jā.eñge