agar  har  chiiz  meñ  us  ne  asar  rakkhā  huā  hai
to  phir  ab  tak  mujhe  kyuuñ  be-hunar  rakkhā  huā  hai
ta.alluq  zindagī  se  muḳhtasar  rakkhā  huā  hai
ki  shānoñ  par  nahīñ  neze  pe  sar  rakhā  huā  hai
zamāne  se  abhī  tak  pūchhte  haiñ  us  kī  bāteñ
use  ham  ne  abhī  tak  be-ḳhabar  rakkhā  huā  hai
ab  aisī  be-samar  saa.at  meñ  us  kī  yaad  kaisī
ye  dukh  achchhe  dinoñ  kī  aas  par  rakkhā  huā  hai
nikalnā  chāhtā  hai  vus.at-e-sahrā  meñ  vahshī
baḌe  jatanoñ  se  dil  ko  bāñdh  kar  rakkhā  huā  hai
sadā  detā  hai  roz-o-shab  koī  aisā  jazīra
jahāñ  mere  bhī  hisse  kā  samar  rakkhā  huā  hai
na  jaane  kaun  sī  manzil  pe  bujh  jaa.eñ  mirī  āñkheñ
so  maiñ  ne  ik  ik  ham-safar  rakkhā  huā  hai