yuuñ  hī  rakkhoge  imtihāñ  meñ  kyā
nahīñ  aa.egī  jaan  jaañ  meñ  kyā
kyuuñ  sadā  kā  nahīñ  javāb  aatā
koī  rahtā  nahīñ  makāñ  meñ  kyā
ik  zamāna  hai  rū-ba-rū  mere
tum  na  aaoge  darmiyāñ  meñ  kyā
vo  jo  qisse  diloñ  ke  andar  haiñ
vo  bhī  lāoge  darmiyāñ  meñ  kyā
kis  qadar  talḳhiyāñ  haiñ  lahje  meñ
zahr  bote  ho  tum  zabāñ  meñ  kyā
dil  ko  shikva  nahīñ  koī  tum  se
ham  ne  rahnā  nahīñ  jahāñ  meñ  kyā
vo  jo  ik  lafz  e'tibār  kā  thā
ab  nahīñ  hai  vo  darmiyāñ  meñ  kyā
mere  ḳhvāboñ  ke  jo  parinde  the
haiñ  abhī  tak  tirī  amaañ  meñ  kyā
ab  to  ye  bhī  nahīñ  ḳhayāl  aatā
chhoḌ  aa.e  the  is  jahāñ  meñ  kyā
ye  bakheḌā  jo  zindagī  kā  hai
chhoḌ  duuñ  us  ko  darmiyāñ  meñ  kyā
chand  va.ade  the  chand  da.ave  the
aur  rakhā  thā  dāstāñ  meñ  kyā
jaane  vo  dil  thā  yā  diyā  koī
raat  jaltā  thā  sham.a-dāñ  meñ  kyā