aañkh  khulne  pe  bhī  hotā  huuñ  usī  ḳhvāb  meñ  gum
der  tak  rahtā  huuñ  ik  lazzat-e-nāyāb  meñ  gum
soch  hī  soch  meñ  tūfān  uThā  detā  huuñ
aur  ho  jaatā  huuñ  ik  mauja-e-girdāb  meñ  gum
ik  sitāra  jo  chamaktā  hai  lab-e-bām  kahīñ
dekhte  dekhte  ho  jaatā  hai  mahtāb  meñ  gum
bach  rahe  saañs  to  jaanā  hai  unhīñ  galiyoñ  meñ
aur  honā  hai  usī  halqa-e-ahbāb  meñ  gum
aise  nashshe  se  sivā  aur  nasha  kyā  hotā
aap  kā  ḳhvāb  jo  ho  jaatā  mire  ḳhvāb  meñ  gum
sajda-e-shauq  ke  māthoñ  se  nishāñ  miTne  lage
ho  ga.ī  rasm-e-azāñ  gumbad-o-mehrāb  meñ  gum
gum  to  honā  thā  ba-har-hāl  kisī  manzar  meñ
dil  huā  ḳhvāb  meñ  gum  aañkh  huī  aab  meñ  gum