nikal  rahā  huuñ  yaqīñ  kī  had  se  gumāñ  kī  jānib
safar  hai  merā  zamīn  se  āsmāñ  kī  jānib
muñDer  par  koī  chashm-e-tar  thī  ki  aa.ina  thā
sitāra-e-shām  dekhtā  thā  makāñ  kī  jānib
ye  ḳhvāb  hai  yā  tilism  koī  ki  ḳhushk  patte
khiñche  chale  jā  rahe  haiñ  āb-e-ravāñ  kī  jānib
koī  to  uupar  se  bojh  Daalā  gayā  hai  varna
jhukā  huā  āsmāñ  hai  kyuuñ  ḳhāk-dāñ  kī  jānib
to  phir  mire  saath  us  kā  chalnā  muhāl  Thahrā
dhyān  rahtā  thā  us  kā  sūd-o-ziyāñ  kī  jānib
sukūnat-e-qalb  ḳhālī  siine  pe  aise  utrī
amaañ  ḳhudī  chal  ke  aa  ga.ī  be-amāñ  kī  jānib