sitāra  aañkh  meñ  dil  meñ  gulāb  kyā  rakhnā
ki  Dhaltī  umr  meñ  rañg-e-shabāb  kyā  rakhnā
jo  regzār-e-badan  meñ  ġhubār  uḌtā  ho
to  chashm-e-ḳhāk-e-rasīda  meñ  ḳhvāb  kyā  rakhnā
safar  nasīb  hī  Thahrā  jo  dasht-e-ġhurbat  kā
to  phir  gumāñ  meñ  fareb-e-sahāb  kyā  rakhnā
jo  Duub  jaanā  hai  ik  din  jazīra-e-dil  bhī
to  koī  naqsh  sar-e-sat.h-e-āb  kyā  rakhnā
ulaT  hī  denā  hai  āḳhir  piyāla-e-jāñ  bhī
havā  ke  dosh  pe  tasht-e-habāb  kyā  rakhnā
bas  itnā  yaad  hai  ik  bhuul  sī  huī  thī  kahīñ
ab  is  se  baḌh  ke  dukhoñ  kā  hisāb  kyā  rakhnā