Raheel Farooq

hum tere ishq pe maghrur na ho jaen kahin

Raheel Farooq

Abdul Hakeem, Punjab, Pakistan

1986

ham tire ishq pe maġhrūr na ho jaa.eñ kahīñ

is qadar paas na aa duur na ho jaa.eñ kahīñ

hameñ ā.īna banā le ki ye sāhir āñkheñ

apne sehr se mas.hūr na ho jaa.eñ kahīñ

siina tābūt na ban jaa.e kisī bulbul

ḳhushbueñ baaġh kāfūr na ho jaa.eñ kahīñ

mat hañsā is qadar ai naubat-e-hālāt hameñ

jo faqat zaḳhm haiñ nāsūr na ho jaa.eñ kahīñ

dhaḌkaneñ kyā haiñ bas ik raakh meñ larzish hai

phir vahī jalve sar-e-tūr na ho jaa.eñ kahīñ

jugnuoñ ko to biThā letī hai āñkhoñ pe havā

diye Darte haiñ ki be-nūr na ho jaa.eñ kahīñ

zarre zarre meñ to vo ḳhud hai makīñ varna ham

chhup na jaa.eñ kahīñ mafrūr na ho jaa.eñ kahīñ

āzmā.ish meñ na Daal apne laboñ ko mat bol

furqateñ bhī hameñ manzūr na ho jaa.eñ kahīñ

ham to āshiq haiñ hamārā to chalo kaam sahī

sajde is shahr dastūr na ho jaa.eñ kahīñ

aap ke ishq meñ ham ho to ga.e aap aap

aap ke naam se mash.hūr na ho jaa.eñ kahīñ

ishq ko hazrat-e-'rāhīl' samajhte to haiñ jabr

qibla-o-ka.aba bhī majbūr na ho jaa.eñ kahīñ

Top Urdushayar.com