vasf  sūraj  hai  raushnī  kyā  hai
tū  agar  hai  to  zindagī  kyā  hai
ḳhud  se  terī  hī  guftugū  hai  miyāñ
zikr  terā  hai  shā.irī  kyā  hai
kaun  jaane  ki  ye  mirī  duniyā
mere  baare  meñ  sochtī  kyā  hai
terā  aanā  hai  aur  jaanā  hai
guftugū  kyā  hai  ḳhāmushī  kyā  hai
ḳhvāb  meñ  bhī  use  na  chhū  paa.e
ham  se  pūchho  ki  bebasī  kyā  hai
us  ke  lahje  se  sar  nikalte  haiñ
saaz  kyā  hai  ye  bāñsurī  kyā  hai