yahī  faqat  merī  zindagī  hai
tirī  itā.at  hī  bandagī  hai
vo  aaj  sair-e-chaman  ko  aa.e
guloñ  ke  chehroñ  pe  tāzgī  hai
ye  un  kī  zarra-navāziyāñ  haiñ
jo  dil  kī  bastī  meñ  tīrgī  hai
jo  maiñ  ne  pūchhā  vafā  kā  matlab
vo  hañs  ke  bole  divāngī  hai
ye  un  kā  dast-e-karam  hai  mujh  par
jo  baat  ab  tak  banī  huī  hai
ye  zaḳhm-e-dil  kī  davā  hai  yāroñ
'sabā'  kī  jo  sher-o-shā.erī  hai