Shahjahan Bano Yaad

wafa-parast jahan-e-wafa ko le Dube

Shahjahan Bano Yaad

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1937
vafā-parast jahān-e-vafā ko le Duube
ajiib baat hai bande ḳhudā ko le Duube
ye kaalī kaalī ghaTā jo barasne vaalī hai
maza to jab hai kisī pārsā ko le Duube
safīne ye to nahīñ haiñ jo haiñ kināroñ par
safīne vo the jo mauj-e-balā ko le Duube
tamām ahl-e-nazāra kī laaj rakh legī
vo ik nazar jo kisī kī adā ko le Duube
ye kaise kaise riyā-kār haiñ zamāne meñ
sazā ke naam se chauñke jazā ko le Duube
bajā hai shān-e-karīmī ye sab ġhurūr magar
yahī ġhurūr to ahl-e-ḳhatā ko le Duube
hamesha yaad hamīñ tak rahe hamāre ġham
vo dost kyā jo kisī ham-navā ko le Duube
Top Urdushayar.com