Shahjahan Bano Yaad

jab bhi mere aansu bahte hain aur tera daman jalta hai

Shahjahan Bano Yaad

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1937

jab bhī mire aañsū bahte haiñ aur terā dāman jaltā hai

dekh ke apnā husn-e-ta.alluq har ahl-e-gulshan jaltā hai

raaz na pūchho mustaqbil sher-o-suḳhan is mahfil

sāhab-e-fan zulmat meñ paḌe haiñ duur charāġh-e-fan jaltā hai

fasl-e-bahārāñ aa jaane se kam na huā ġham ahl-e-chaman

shabnam ke aañsū bahte haiñ gul pairāhan jaltā hai

jalne ko to sab jalte haiñ aag judā hai apnī apnī

ham jalte haiñ tum jalte ho ik ik ahl-e-chaman jaltā hai

koī nahīñ ġham-ḳhvār jahāñ meñ 'yād' hamārī tanhā.ī

apne aañsū bahte haiñ apnā dāman jaltā hai

Top Urdushayar.com