Qadr Bilgrami

jab zara naghmon se bulbul gul-fishan ho jaega

Qadr Bilgrami

Bilgram, Uttar pradesh, India

1883-1894
jab zarā naġhmoñ se bulbul gul-fishāñ ho jā.egā
Tokarī phūloñ kī saarā āshiyāñ ho jā.egā
jab uThegā josh-e-mai ban jā.egā vo āftāb
jab uḌegā ḳhum kā sar-posh āsmāñ ho jā.egā
jism-o-jāñ kā faisla saarā usī ke haath hai
paañv terī teġh kā ḳhud darmiyāñ ho jā.egā
mo.ajiz-e-shaqqul-qamar dikhlā.egī angusht-e-husn
chāñd tere partave se ḳhud katāñ ho jā.egā
rind haañ ammāma-e-zāhid pe huuñ hath-pheriyāñ
kashtī-e-mai kā ik achchhā bādbāñ ho jā.egā
sar pe chhan chhan kar balā.eñ ā.eñgī ḳhāmosh 'qadr'
aah khīñchoge to chhalnī āsmāñ ho jā.egā
Top Urdushayar.com